kisi khas kai liye

milegi jis din ye nazar tujse
tabse aankhe teri, par sath mere hogi,
jo bol na payega tu, par dikhega teri ankho mei
zubaan pe wo baat mere hogi,
bolega tu tere adhro se jo kabhi kabhi,

alone-girl-in-love-emo-girls-boys-fashion-40950

par wo alfaaz mere honge,
humare darmiyaan rumaniya wo halaat kuch aise honge,
jab hoga ye anjaam,
sirf ek chand hoga aur raat wo andheri hogi,
nazar tumhari humpe aur humari tumpe,
us puri mulaqaat ke liye thehri hogi……

Vasundha Nahar

vasundha28111993@gmail.com

Sir Padampat Singhania University, Udaipur

Advertisement

Jayaz

tumhara har ilzam jayaz
tumara har gila jayaz
tumhara ruthna jayaz
kuch na kehna jayaz
ye sb jayaz kyunki humne tumare dil mei reh ke
tumhara dil-e-haal jana h
hearts_custom-56ed28cfc2f1bfcbddc8f1df82787485b74c7779-s6-c30

fir kyun…

na humara gum jayaz
na humara karm jayaz
na humara ruthna jayaz
na hi humara shant rehna jayaz
tum bhi toh humare dil se puch kai dekho…
kya humara tumse koi rishta purana h???

Vasundha Nahar

vasundha28111993@gmail.com

Sir Padampat Singhania University, Udaipur

SACHAI

Satya bolne ka gund hona chahiye kehte hi yeh sab log
Par iss gund ka sahi nahi kar pate hai log prayog
SACHAI, kya hai yeh SACHAI??
Yeh wahi shashwat gund hai jisne hume jeena sikhaya,
aur azaad bharat ka sunehara sapna dikhaya
Yeh wahi hai jisne Gandhiji ka sada saath nibhaya,
Aur humare bharat mein satyagraha ka aandolan chalvaya.
Issi ke margdarshan ne badla tha bharat ka swaroop

mahatma-gandhi-color-photos-hd-1080p

Aur nikhara tha humari rashtrabhoomi ka roop.
Par jaise har mahaan vastu ke mulya ka nahi hota logon ko bhaan
Aise hi sachai ki mahatvata ka bhi nahi hai logon ko sampoorna gyan
Par samjhalo aaj tum acche se ek baat
Agar jeevan mein rehna chahte hai samriddh aivam khushal
Toh sada rakhna thaame tum sachai ka haath
Kyunki agar tum aisa karne mein rehte ho saksham
Toh duniya sada degi tumhara saath
“SATYA SE BADA ISS VISHWA MEIN NAHI HAI KOI GYAAN
KEH KE GAYE HAI YEH JAANE KITNE CHATUR SUJAAN” 

Anushka Srivastava

anushkasrivastava94@gmail.com

Sir Padampat Singhania University, Udaipur

YAADEIN

Dil bahut udaas h aaj..mai bhi nhi boojh paa rhi hu iska raaz
Kya hai jo mujhe khaae ja rha hai andar hi andar
Lag rha hai jese hilore lein rha ho baaton ka vishal samandar
Mann mai uth rhe hai kai sawaal
Bas wo hi hai jo jaan leta hai mere dil ka haal
Par aaj nhi hai mere paas
Door hai kahi..nipaata rhai h kaam kuch khaas
Soch rahi hu ki karungi us se bahut saari baatein
Rakh dungi saamne apni saari shikayatein..
Ye hi sochte sochte pta nhi kab neend ne le liya baahon mai..
Aur sapno ki duniya mai gum ho gayi meri baatein
Subah uthi toh har taraf tha jashn ka maahol
Kahi mithaai toh kahi saj rhe the puja kai thaal
Har taraf thi khushi har chehre par thi muskan
Par har rang lag rha tha feeka
Sab the paas par wo nhi tha jiske sath mene hasna seekha
Baithi thi ek kone mai apni soch mai doobi
Tabhi dekha, saamne khada hai koi
Ye aankhein uss din khushi se khub royi
Soch rhi thi mai ki nhi aaega wo..nikal jaaega ye din
Par wo aya paas aur bola
“KESE NA AATA PYAARI BEHNA….
KYA RAKSHABANDHAN KAE DIN EK BHAAI REH PAAEGA APNI BEHEN KAE BINA”

Muskan Upadhayay

muskanup95@gmail.com

Sir Padampat Singhania University, Udaipur

अल्फ़ाज़

कुछ अल्फ़ाज़ वो उसकी याद मे है
कुछ अल्फ़ाज़ वो उसकी चाह मे है
कुछ अल्फ़ाज़ उसके एहसास मे है
तो कुछ अल्फ़ाज़ उसके होने की आस मे है
बस यही अल्फ़ाज़ अब रह गये मेरे पास
पर इन अल्फाज़ो  का..
“क्या तुम्हे है एहसास “
हो एहसास तो हमे भी याद करना
ओर कभी तो इन अल्फाज़ो से तुम भी बात करना
खो जाना इन अल्फाज़ो मे की घुल जाना तुम इन सांसो मे
बस फिर हमे ही तुम याद करना
ओर इन अल्फाज़ो से तुम मोहबात-ए-आगाज़ करना..

Priyansha Sharma
Sir Padampat Singhania University, Udaipur
priyanshasharma01@gmail.com

 

MAA

tere aanchal se badi kya hogi duniya, meri maa
tere ashirwad se badhkar kya samman hoga, maa
bas tere swabhimaan ki raksha kar lun, maa
usse badhkar kya abhimaan hoga, meri maa
chhoti se ungli thami thi tumne
rato ki neend hari thi tumne
sine se lagakar pala hai tumne
har bar sambhala hai tumne
tera karz koi utaar nahi sakta
mera jivan koi aur sanwar nahi sakta
mere jhuth aur sach ko tu puri tarah samajh jati hai
mere khushi aur dard tere chehre pe jhalakte hai
ye kayenat khuda ki rehmat
meri zindagi teri badualat
har zarra hai tujhse juda
mai kya hu sirf tujhe pata,
sirf tujhe pata,sirf tujhe pata
                        

Anupam Mishra
anupammishra846@gmail.com
Sir Padampat Singhania University,Udaipur

Bachpan Ka Zamana

Bachpan Ka Bhi Ek Zamana Hota Hai
Jab Har Din Bahut Pyara Hota Hai
Dil Titli Ka Tab Deewana Hata Hai
Aur Khilona Hi Sab Khazana Hota Hai
Chahat Hoti Hai Chand Ko Pane Ki
Kagaz Ki Kashti Aur Nadiya Ka Kinara Hota Hai….

‘Papa’ Ke’ Kandhe Aur ‘Maa’ Ko Tadapana Hota Hai
Ek Pal Jab Rona To Dusre Hi Pal Hasana Hota Hai
Mitti Me Bhi Mujhe Ghar Banana Hota Hai
Aur Chitiyo Ko Dekh Na Jane Kya Batana Hota Hai….

Teacher Ki Daat
Magar ‘School’ Phir Bhi Jana Hota Hai
Mila Jab Dosto Ka Tola,
To Geet Koi Gun Gunana Hota Hai
Aur Jab Ruthna Mera,
Sabka Tab Manana Hota Hai…

Garmi Ki Chuttiyo Ka Jab Aana Hota Hai,
Nanihal Ko Tab Mujhe Jana Hota Hai
Aam Ka Achaar – Murrba,
Aur Dudh Malai Ko Khana Hota Hai
Kyuki, Mota Taza Hokar Sher Ko Dikhana Hota Hai…

Sach,
Nani Ki Kahani Ka Jo Nazara Hota Hai
Vahi, Dadi Ki Kahani Me Pariyo Ka Aana Hota Hai
Gudiyo Ke Sang Preet Ko Nibhana Hota Hai
Barish Ke Din Me Bhigna,
Aur Kulfi Chaat Ko Khana Hota Hai
Phir Aaya Jab Mela To Usme Bhi Mujhe Jana Hota Hai
Holi Ka Rang, Patakhon Ko Jalana Hota Hai….

Kyu Nhi Rahata Ye Bachpan Hardam
Ab Nhi Wo Zamana Hota Hai
Har Bacche Ko Patang Sang
Unchai Par Udd Jana Hota Hai
Haa,
Tabhi To Sabko Bada Ho Jana Hota Hai
Aur Bachpan Ko Chala Jana Hota Hai
Har Lamhe Ko Beet Jana Hota Hai…….

Prateeti Rawal

prateetirawal@gmail.com

SIR PADAMPAT SINGHANIYA UNIVERSITY

EK ADHURI SI MULAKAAT

Yeh jo shabnam ki boonde girti hai kuch iss tarah,
Behisaab khawaboon ko de jaati hai panah,
Inhe dekhte hi mann mein uthti hai ek nayi umang,
Aur dil gaane lagta hai ek nayi tarang.

Inn sab khyalon ke beech yaad aati hai kai baatein,
Anginat yaadein aur kuch ajab logon se mulakatein,
Issi ek mulakaat ka kissa aaj hai ekdum se zehan mein aaya
Aur socha humne ki kyun naa sabko jaya yeh sunaya.

Mulaakat nahi thi woh koi bahut khaas,
Phir bhi aaj bhi zehan mein hai uska ehsaas,
Woh din bhi tha bilkul isi din jaisa,
Aur phir bana sanjog yeh kaisa,
Kisi kaam se jaana pada mujhko bazaar.

Bhaagte hue pahunchi mein sadak ke uss paar,
Bachte hue uss prahaar se jo kar rahe the boondon ke waar.
Achanak mujhe dikha ek shakhs wahan,
Lag raha tha ki woh naya tha yahan
Jaise kisi ki talaash mein thi nazarein uski
Dekhkar usne mujhko di ajab gajab si muskan
Matlab jiska pata laga pati itna nahi tha mujhko bhaan
Par uski muskan mein thi kuch apnepan si baat
Par usko dekhne ke baad ho rha tha mujhe
ek ajeeb se adhurapan ka aur ajeeb se khalipan ka abhaas
Jiski wajah janane ki mujhe ho rhi thi bechaini,
Pata nahi kya hua tha mujhko,kyun iss raaz mein thi itni mujhe itni dilchaspi.

Kher phir bheed mein kahin gum ho gaya who shakhs,
Aur meri nazarein aaj bhi guzre kal mein dekhti hai uska aks,
Kya tha yeh ajab sa ehsaas jo uss din mujhe hua,
Jisne mere mann ke alag se kone ko pehli aur akhiri baar tha chua.
Woh din aur hai din aaj ka,samay aage hai badh gaya
Par pata nahi aaj bhi jab aati hai barsaat
Aur mausam ban jaata hai uss din ki tarah hi khaas
Tab dil yeh hi gana gungunata hai
“SAB KUCH WAHI HAI,PAR KUCH KAMI HAI,TERI AAHATEIN HI NAHI HAI”
Aur sochta hai ki shayad woh shakhs aayega
Aur mere har sawaal ka jawab mujhe dekar jayega.

 

Anushka Srivastava

anushkasrivastava94@gmail.com

Sir Padampat Singhania University

Aaina..

“Abhi hi to jaga tha rey bande abhi fir sey so gaya”

Khud ko dhundhte dhundhte tu kaha kho gaya

Abhi to jaga tha rey bande abhi fir sey so gaya

Jin aankho main sapne the ab unme aansu baste hai

Jahan pehle logo ki bheed thi wahan ab khali raste hai

Jis dil main safalta ke rasto par chalne ki thi chahat

Ab usme kisi pehchane sey ajnabee ko Milne ki hai aahat

In pechida rasto par chalte chalte tu kaha kho gaya

Abhi hi to jaga tha rey bande abhi fir sey so gaya

Jo hath pehle likhne ke liye betaab the

Wo ab kalam pakadte hi kapte hai

Jo per bhagne ke liye taraste the

Wo ab dur sey hi duriya napte hai

Jis dil main khul ke jeene ki khwaish thi

Ab us main ruk kar khud sey milne ki chahat hai

Is chahat ko dhundhte dhundhte tu kaha kho gaya

Abhi to jaga tha rey bande fir sey so gaya

Aisa kya hua Jo tune kalam sey rishta Tod diya

Hua kya aisa Jo tune khud par bharosa karna chod diya

Teri kabiliyat ko log chunoti dene lage

Has kar log tujhe kayar kehne lage

Sare dukh dard ka bhar tune kamjor khandhe par le liya

Logo ka mara har ek teer mano haste haste seh liya

Yu haste haste tu kaha kho gaya

Abhi to jaga tha rey bande abhi fir sey so gaya

Khud ko aapni nazro main na ghira rey tu

Ye soch aakhir hua aisa hi kyu

Apne aap ko dhoka dekar kab tab Bach payega

Kya aage jakar khud sey nazar mila payega

Aaj duniya tere bager kyu chalti hai

Kya isme sirf Teri hi galti hai

Patthar tha tu tere chahne walo ke ki nazro main kabhi

Tu to tha mom kisi ne chukar dekha hi nahi

Kyu maa ne pucha ki beta paper kharab hua ya sahi

Kyu nahi pucha ki beta tune khana khaya ya nahi

Kyu tere bauji ne bhi diya tujhe dhokha

Kyu tujhe galti karne ka diya hi nahi mouka

Kash wo kh dete beta main tere pas hu

Kar tu galti hu piche khada lekin tere sath hu

Agar tere sath kabhi aisa hua hota

To andheri rato main tu sisak kar na soya hota

Yu sisak sisak ke tu kaha so gaya

Abhi to jaga tha rey bande abhi fir sey so gya

Abhi bhi waqt hai ye baat meri maan tu

Girkar seekhega ye hukum than tu

Mana ki waqt ki aandhi main jaan hogi

Lekin ab sirf jeetna hi Teri shaan hogi

Dur tujhe hai jana abhi

Kafi kuch hai Pana abhi

Jana hai dur abhi,abhi dur hai jana

Abhi to hai tujhe sari kayinaat par chana

Abhi to jannat ki tamanna lekar tujhe hai jeena

Chalna hai sabse aage taan ke aapna seena

Ek din puri duniya par tu hi chayega

Koi kar sake na aisa kam tu kar jayega

Ab kisne hai tujhe roka

Koi aur ko dena na mouka

Salaam karege tujhe ab sabhi

Dena na mouka kisi ko kehne ka kabhi

Ki….khud ko dhundhte dhundhte tu kaha kho gya

Abhi to jaga tha rey bande fir sey so gaya

 Ayush khandelwal
ayushkhandelwal10@gmail.com
Sir padampat singhaniya university,Udaipur

 

Guldasta-E-Nigaah’n..

guldasta-e-nigahoo’n main unhe sajaye bethe hai
ki dur na ho jaye wo ye aas lagaye bethe hai
fitrat main aksar hum unhi ki rha krte hai
yu to ibadat hum unhi ki kiya krte hai..
unki adakariyo par
hum uhi nhi kurbaa’n…
ki kuch bat to unke aandaaz-e-khumar main hai
ho dur wo to kya huzur..
yaado main unhe sajaye bethe hai
ho lakh humse juda to kya
ki ab to mahfiley unki sajaye bethe hai..

Priyansha Sharma
Sir Padampat Singhania University, Udaipur
priyanshasharma01@gmail.com

 

Previous Older Entries

Enter your email address to follow this blog and receive notifications of new posts by email.

Join 16,339 other subscribers

Disclaimer:

'CampusWriting*Udaipur' is strictly a sharing system(text, pictures,video) on human emotions. All the content seen on this page are strictly user-generated. 'CampusWriting*Udaipur' is not responsible for any kind of disputes arising on the grounds of plagiarism. Any copied material would be removed once reported at cw4udaipur@gmail.com OR khizar@campuswriting.com

‘CampusWriting.com’

Protected by Copyscape Duplicate Content Detection Software
QR Code generator
'Campus Writing'

Let Creativity Run Wild..!